nadan kuchh nahin hai tere iKHtiyar mein
nādān kuchh nahīñ hai tire iḳhtiyār meñ
har chiiz to hai qabza-e-parvardigār meñ
is daur meñ vafā kī haqīqat maiñ kyā kahūñ
jaise sarāb aa.e nazar regzār meñ
hai vaqt kā taqāzā raheñ ittifāq se
afsos mubtalā hue ham intishār meñ
dushman pe vaqt aa.e to maiñ intiqām luuñ
shāmil nahīñ hai dosto mere shi.ār meñ
ahl-e-chaman to shaad haiñ masrūr haiñ magar
'zaḳhmī' gulāb ho ga.e fasl-e-bahār meñ
nadan kuchh nahin hai tere iKHtiyar mein
har chiz to hai qabza-e-parwardigar mein
is daur mein wafa ki haqiqat main kya kahun
jaise sarab aae nazar regzar mein
hai waqt ka taqaza rahen ittifaq se
afsos mubtala hue hum intishaar mein
dushman pe waqt aae to main intiqam lun
shamil nahin hai dosto mere shiar mein
ahl-e-chaman to shad hain masrur hain magar
'zaKHmi' gulab ho gae fasl-e-bahaar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.