nagin hai zulf-e-yar na zinhaar dekhna
nāgin hai zulf-e-yār na zinhār dekhnā
uḌ uḌ ke kāTtī hai ḳhabar-dār dekhnā
kahte haiñ log mujh se ye khā khā ke ab qasam
ḳhūñḳhār hai ye shoḳh-e-sitamgār dekhnā
shīrīñ dahan na būjhiyo haiñ shahd kī chhurī
hañs hañs ke jaan leñ haiñ ye atvār dekhnā
shāna samajh ke kījiyo zulfoñ ko apnī yaar
uljhā hai us meñ dil ye giraftār dekhnā
dil ḳhush huā kahīñ to phir apnā ye hai shi'ār
jā kar ke baaġh meñ gul-o-gulzār dekhnā
apnī nazar to 'nayan' ḳhudā par hai ho so ho
jo aan baaz khaa.e so lāchār dekhnā
nagin hai zulf-e-yar na zinhaar dekhna
uD uD ke kaTti hai KHabar-dar dekhna
kahte hain log mujh se ye kha kha ke ab qasam
KHunKHar hai ye shoKH-e-sitamgar dekhna
shirin dahan na bujhiyo hain shahd ki chhuri
hans hans ke jaan len hain ye atwar dekhna
shana samajh ke kijiyo zulfon ko apni yar
uljha hai us mein dil ye giraftar dekhna
dil KHush hua kahin to phir apna ye hai shi'ar
ja kar ke bagh mein gul-o-gulzar dekhna
apni nazar to 'nayan' KHuda par hai ho so ho
jo aan baz khae so lachaar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.