Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahaq o haq ka unhen KHauf-o-KHatar kuchh bhi nahin

Agha Hajju Sharaf

nahaq o haq ka unhen KHauf-o-KHatar kuchh bhi nahin

Agha Hajju Sharaf

MORE BYAgha Hajju Sharaf

    nāhaq o haq unheñ ḳhauf-o-ḳhatar kuchh bhī nahīñ

    be-ḳhabar haiñ vo zamāne ḳhabar kuchh bhī nahīñ

    dhuum dhuum thī madfan magar kuchh bhī nahīñ

    ḳhaak is ghar meñ basar hogī ye ghar kuchh bhī nahīñ

    haa.e afsos huī kaun sohbat barḳhāst

    shab ko me.arāj meñ the vaqt-e-sahar kuchh bhī nahīñ

    kah rahī hai ye mare dil se mohabbat us

    huuñ to iksīr magar mujh meñ asar kuchh bhī nahīñ

    aa rahī hai ye sadā gor ke sannāTe se

    maiñ vo aalam huuñ jahāñ shām-o-sahar kuchh bhī nahīñ

    is nazākat se to maiñ kaahe ko bismil hūñgā

    tum chhurī pherte ho mujh ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ

    hātif-e-ishq to kahtā hai idhar sab kuchh hai

    ālam-e-yās ye kahtā hai udhar kuchh bhī nahīñ

    aañkh phir jaatī hai māshūqoñ māyūsoñ se

    ġham-zada kuchh nahīñ hasrat nazar kuchh bhī nahīñ

    turbat-e-qais se kahtī hai lipaT kar lailā

    ham taḌapte haiñ paḌe tum ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ

    manzil-e-gor meñ kyā jāniye kyā guzregī

    taaza vārid haiñ abhī ham ko ḳhabar kuchh bhī nahīñ

    lan-tarānī jo tākīd hai ai dil ye khulā

    bāb-e-dīdār meñ manzūr-e-nazar kuchh bhī nahīñ

    ḳhvāb dekhā thā ki thā vasl shab sāmān

    jashn thā raat ko hañgām-e-sahar kuchh bhī nahīñ

    us ko gahrī ise ye ochhī chhurī vaah ai yaar

    zaḳhm-e-dil ghaav huā zaḳhm-e-jigar kuchh bhī nahīñ

    rishta-e-jāñ se bhī nāzuk hai vo bārīkī meñ

    gul rag phir hai gudāz us kamar kuchh bhī nahīñ

    qabr meñ hūroñ ke aane uThā.eñ kyā lutf

    diida o jism o dil o jaan o jigar kuchh bhī nahīñ

    raas aa jā.egī jis ko vo use chāheñge

    phir mohabbat meñ sabhī kuchh hai agar kuchh bhī nahīñ

    mutma.in huuñ rah-e-isyāñ meñ tirī rahmat se

    vo musāfir huuñ ki tashvīsh-e-safar kuchh bhī nahīñ

    ai 'sharaf' hai gul-e-maqsūd ke har-sū bauchhār

    vaah ai ḳhūbi-e-qismat ki idhar kuchh bhī nahīñ

    nahaq o haq ka unhen KHauf-o-KHatar kuchh bhi nahin

    be-KHabar hain wo zamane ki KHabar kuchh bhi nahin

    dhum hi dhum thi madfan ki magar kuchh bhi nahin

    KHak is ghar mein basar hogi ye ghar kuchh bhi nahin

    hae afsos hui kaun si sohbat barKHast

    shab ko mearaj mein the waqt-e-sahar kuchh bhi nahin

    kah rahi hai ye mare dil se mohabbat us ki

    hun to iksir magar mujh mein asar kuchh bhi nahin

    aa rahi hai ye sada gor ke sannaTe se

    main wo aalam hun jahan sham-o-sahar kuchh bhi nahin

    is nazakat se to main kahe ko bismil hunga

    tum chhuri pherte ho mujh ko KHabar kuchh bhi nahin

    hatif-e-ishq to kahta hai idhar sab kuchh hai

    aalam-e-yas ye kahta hai udhar kuchh bhi nahin

    aankh phir jati hai mashuqon ki mayuson se

    gham-zada kuchh nahin hasrat ki nazar kuchh bhi nahin

    turbat-e-qais se kahti hai lipaT kar laila

    hum taDapte hain paDe tum ko KHabar kuchh bhi nahin

    manzil-e-gor mein kya jaaniye kya guzregi

    taza warid hain abhi hum ko KHabar kuchh bhi nahin

    lan-tarani ki jo takid hai ai dil ye khula

    bab-e-didar mein manzur-e-nazar kuchh bhi nahin

    KHwab dekha tha ki tha wasl ki shab ka saman

    jashn tha raat ko hangam-e-sahar kuchh bhi nahin

    us ko gahri ise ye ochhi chhuri wah ai yar

    zaKHm-e-dil ghaw hua zaKHm-e-jigar kuchh bhi nahin

    rishta-e-jaan se bhi nazuk hai wo bariki mein

    gul ki rag phir hai gudaz us ki kamar kuchh bhi nahin

    qabr mein huron ke aane ka uThaen kya lutf

    dida o jism o dil o jaan o jigar kuchh bhi nahin

    ras aa jaegi jis ko wo use chahenge

    phir mohabbat mein sabhi kuchh hai agar kuchh bhi nahin

    mutmain hun rah-e-isyan mein teri rahmat se

    wo musafir hun ki tashwish-e-safar kuchh bhi nahin

    ai 'sharaf' hai gul-e-maqsud ke har-su bauchhaar

    wah ai KHubi-e-qismat ki idhar kuchh bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now