nahaq shikayat-e-gham-e-duniya kare koi
nāhaq shikāyat-e-ġham-e-duniyā kare koī
ġham hai baḌī ḳhushī jo gavārā kare koī
rag rag meñ dil kī jazb hai mahshar-e-umīd
andāza-e-hujūm-e-tamanna kare koī
hai un ke āstāñ pe hujūm-e-ġhurūr-o-nāz
gunjā.ish-e-jabīñ ho to sajda kare koī
yūsuf ġhayūr fitrat-e-yūsuf ġhayūr-e-tar
kyā e'tibār-e-ḳhvāb-e-zuleḳhā kare koī
har shaḳhs hai ḳharāb-e-tamannā ba-qadr-e-zauq
'sīmāb' kis se arz-e-tamannā kare koī
nahaq shikayat-e-gham-e-duniya kare koi
gham hai baDi KHushi jo gawara kare koi
rag rag mein dil ki jazb hai mahshar-e-umid
andaza-e-hujum-e-tamanna kare koi
hai un ke aastan pe hujum-e-ghurur-o-naz
gunjaish-e-jabin ho to sajda kare koi
yusuf ghayur fitrat-e-yusuf ghayur-e-tar
kya e'tibar-e-KHwab-e-zuleKHa kare koi
har shaKHs hai KHarab-e-tamanna ba-qadr-e-zauq
'simab' kis se arz-e-tamanna kare koi
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 252)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.