nakaam-e-nashat-e-aish-o-KHushi har waqt ke ranj-o-gham ne kiya

nakaam-e-nashat-e-aish-o-KHushi har waqt ke ranj-o-gham ne kiya
Nooh Narvi
MORE BYNooh Narvi
nākām-e-nashāt-e-aish-o-ḳhushī har vaqt ke ranj-o-ġham ne kiyā
jo tum ne kahā vo dil ne kiyā jo dil ne kahā vo ham ne kiyā
ye haal hai mere marqad kā 'ālam hai ye mere madfan par
sarsar ne kisī din jhāḌū dī chhiḌkāv kabhī shabnam ne kiyā
furqat meñ hazāroñ zulm sahe ulfat meñ hazāroñ rañj diye
kyā ham ne kiyā kyā tum ne kiyā ye tum ne kiyā vo ham ne kiyā
āñkhoñ se bahe miTTī meñ mile ahbāb ko parvā kuchh na huī
mātam mire ik ik aañsū kā mizhgāñ kī saf-e-mātam ne kiyā
ab koī use fariyād kahe yā koī use shikva samjhe
ham ko jo satāyā bandoñ ne to shukr ḳhudā kā ham ne kiyā
yuuñ aap bigaḌne ko bigḌeñ lekin ye zarā socheñ samjheñ
kyā sirf hamīñ ne 'ishq kiyā duniyā ne kiyā 'ālam ne kiyā
ye tum ne kiyā ye tum ne sunā ye tum ne kahā ye kaun kahe
vo pūchhte haiñ kyā ham ne kahā kyā ham ne sunā kyā ham ne kiyā
hasrat ko bhī hasrat aatī hai 'ibrat ko bhī 'ibrat aatī hai
vo shakl hamārī ġham meñ huī ye haal hamārā ġham ne kiyā
duniyā ko Duboyā ashkoñ se tūfān uThāyā ro ro kar
dariyā-e-ġham ulfat meñ bapā ai 'nūh' talātum ham ne kiyā
nakaam-e-nashat-e-aish-o-KHushi har waqt ke ranj-o-gham ne kiya
jo tum ne kaha wo dil ne kiya jo dil ne kaha wo hum ne kiya
ye haal hai mere marqad ka 'alam hai ye mere madfan par
sarsar ne kisi din jhaDu di chhiDkaw kabhi shabnam ne kiya
furqat mein hazaron zulm sahe ulfat mein hazaron ranj diye
kya hum ne kiya kya tum ne kiya ye tum ne kiya wo hum ne kiya
aankhon se bahe miTTi mein mile ahbab ko parwa kuchh na hui
matam mere ek ek aansu ka mizhgan ki saf-e-matam ne kiya
ab koi use fariyaad kahe ya koi use shikwa samjhe
hum ko jo sataya bandon ne to shukr KHuda ka hum ne kiya
yun aap bigaDne ko bigDen lekin ye zara sochen samjhen
kya sirf hamin ne 'ishq kiya duniya ne kiya 'alam ne kiya
ye tum ne kiya ye tum ne suna ye tum ne kaha ye kaun kahe
wo puchhte hain kya hum ne kaha kya hum ne suna kya hum ne kiya
hasrat ko bhi hasrat aati hai 'ibrat ko bhi 'ibrat aati hai
wo shakl hamari gham mein hui ye haal hamara gham ne kiya
duniya ko Duboya ashkon se tufan uThaya ro ro kar
dariya-e-gham ulfat mein bapa ai 'nuh' talatum hum ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.