nakaam hi dil jo rahna tha nakaam raha achchha hi hua
nākām hī dil jo rahnā thā nākām rahā achchhā hī huā
ab kiije kisī kā shikva kyā jo kuchh bhī huā achchhā hī huā
kuchh manzil kā ġham baḌh jaatā kuchh rāheñ mushkil ho jātīñ
is taptī dhuup meñ zulfoñ kā saaya na milā achchhā hī huā
ab rāh-e-vafā ke patthar ko ham phuul nahīñ samjheñge kabhī
pahle hī qadam par Thes lagī dil TuuT gayā achchhā hī huā
do chaar ghaḌī hañs-bol ke ham barsoñ ḳhuuñ ke aañsū rote
do chaar ghaḌī bhī bazm-e-tarab meñ jī na lagā achchhā hī huā
in jaadū karne vāloñ ke kuchh bhed samajh meñ aa to ga.e
dil pyaar ke pīchhe pāgal thā nākām rahā achchhā hī huā
do ghūñT se apnī tishna-labī kyā kam hotī kyuuñ kam hotī
chhalkā huā sāġhar hāthoñ se gir kar TuuTā achchhā hī huā
har vaqt ḳhizāñ ke jhoñkoñ se Darte rahte ham bhī 'manzar'
siine meñ kabhī armānoñ kā ġhuncha na khilā achchhā hī huā
nakaam hi dil jo rahna tha nakaam raha achchha hi hua
ab kije kisi ka shikwa kya jo kuchh bhi hua achchha hi hua
kuchh manzil ka gham baDh jata kuchh rahen mushkil ho jatin
is tapti dhup mein zulfon ka saya na mila achchha hi hua
ab rah-e-wafa ke patthar ko hum phul nahin samjhenge kabhi
pahle hi qadam par Thes lagi dil TuT gaya achchha hi hua
do chaar ghaDi hans-bol ke hum barson KHun ke aansu rote
do chaar ghaDi bhi bazm-e-tarab mein ji na laga achchha hi hua
in jadu karne walon ke kuchh bhed samajh mein aa to gae
dil pyar ke pichhe pagal tha nakaam raha achchha hi hua
do ghunT se apni tishna-labi kya kam hoti kyun kam hoti
chhalka hua saghar hathon se gir kar TuTa achchha hi hua
har waqt KHizan ke jhonkon se Darte rahte hum bhi 'manzar'
sine mein kabhi armanon ka ghuncha na khila achchha hi hua
- Book : urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 98)
- Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (sahityaa parkaashak maalbaara delhi )
- Edition : 196.3
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.