Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nakaami-e-qismat ka gila chhoD diya hai

Muzaffar Razmi

nakaami-e-qismat ka gila chhoD diya hai

Muzaffar Razmi

MORE BYMuzaffar Razmi

    nākāmi-e-qismat gila chhoḌ diyā hai

    tadbīr se taqdīr ruḳh moḌ diyā hai

    vo jurm bhī ik azmat-e-kirdār hai jis ne

    TuuTā huā ik rishta-e-dil joḌ diyā hai

    dil Duub chalā āḳhir-e-shab ḳhushk haiñ āñkheñ

    aa ki sitāroñ ne bhī dam toḌ diyā hai

    bahte hue dekhe haiñ udhar vaqt ke dhāre

    ruḳh ham ne irādoñ jidhar moḌ diyā hai

    fankār ehsās-e-ziyā-bār thā jis meñ

    hālāt ne vo shīsh-mahal toḌ diyā hai

    andāz-e-ġhazal aap kyā ḳhuub hai 'razmī'

    mahsūs ye hotā hai qalam toḌ diyā hai

    nakaami-e-qismat ka gila chhoD diya hai

    tadbir se taqdir ka ruKH moD diya hai

    wo jurm bhi ek azmat-e-kirdar hai jis ne

    TuTa hua ek rishta-e-dil joD diya hai

    dil Dub chala aaKHir-e-shab KHushk hain aankhen

    aa ja ki sitaron ne bhi dam toD diya hai

    bahte hue dekhe hain udhar waqt ke dhaare

    ruKH hum ne iradon ka jidhar moD diya hai

    fankar ka ehsas-e-ziya-bar tha jis mein

    haalat ne wo shish-mahal toD diya hai

    andaz-e-ghazal aap ka kya KHub hai 'razmi'

    mahsus ye hota hai qalam toD diya hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    nakaami-e-qismat ka gila chhoD diya hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now