nakaami-e-ishq ya kaamyabi
nākāmī-e-ishq yā kāmyābī
donoñ kā hāsil ḳhāna-ḳharābī
āñkheñ siyah-mast chehra kitābī
baada shabāna jaam āftābī
duniyā-o-dīñ se begāna ho jā
dīvāna ho jā ban jā sharābī
un kā bahāna barjasta-goī
merā tabassum hāzir-javābī
dīñ-dār kar ke kāfir banā de
ye parda-dārī ye be-hijābī
haiñ taḳht-e-dil par sarkār varna
taḳhta ulaT deñ ham inqilābī
nakaami-e-ishq ya kaamyabi
donon ka hasil KHana-KHarabi
aankhen siyah-mast chehra kitabi
baada shabana jam aaftabi
duniya-o-din se begana ho ja
diwana ho ja ban ja sharabi
un ka bahana barjasta-goi
mera tabassum hazir-jawabi
din-dar kar ke kafir bana de
ye parda-dari ye be-hijabi
hain taKHt-e-dil par sarkar warna
taKHta ulaT den hum inqilabi
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 251)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.