nala-e-garm kiye aur dam-e-sard bhare kya jien hum to mare

Hatim Ali Mehr
MORE BYHatim Ali Mehr
nāla-e-garm kiye aur dam-e-sard bhare kyā ji.eñ ham to mare
ham-safīrān-e-chaman rā ki rasānad ḳhabre az man-e-nauha-gare
fasl-e-gul aa.ī ye aur meñ huuñ giraftār-e-qafas kuchh bhī chaltā nahīñ bas
ham-safīrān-e-chaman rā ki rasānad ḳhabre az man-e-nauha-gare
phañs ga.e daam meñ sayyād ke shāyad bulbul roz suntā huuñ ye ġhul
ham-safīrān-e-chaman rā ki rasānad ḳhabre az man-e-nauha-gare
maiñ huuñ sayyād hai aur shor-o-fuġhān-o-faryād koī detā nahīñ daad
ham-safīrān-e-chaman rā ki rasānad ḳhabre az man-e-nauha-gare
bhuul kar kunj-e-qafas tak kabhī aa.e na sabā na sunā naala merā
ham-safīrān-e-chaman rā ki rasānad ḳhabre az man-e-nauha-gare
koī qātil maiñ rahī 'mehr' se kitnī hī shahīd maiñ huuñ aur qaid-e-shadīd
ham-safīrān-e-chaman rā ki rasānad ḳhabre az man-e-nauha-gare
nala-e-garm kiye aur dam-e-sard bhare kya jien hum to mare
ham-safiran-e-chaman ra ki rasanad KHabre az man-e-nauha-gare
fasl-e-gul aai ye aur mein hun giraftar-e-qafas kuchh bhi chalta nahin bas
ham-safiran-e-chaman ra ki rasanad KHabre az man-e-nauha-gare
phans gae dam mein sayyaad ke shayad bulbul roz sunta hun ye ghul
ham-safiran-e-chaman ra ki rasanad KHabre az man-e-nauha-gare
main hun sayyaad hai aur shor-o-fughan-o-faryaad koi deta nahin dad
ham-safiran-e-chaman ra ki rasanad KHabre az man-e-nauha-gare
bhul kar kunj-e-qafas tak kabhi aae na saba na suna nala mera
ham-safiran-e-chaman ra ki rasanad KHabre az man-e-nauha-gare
koi qatil main rahi 'mehr' se kitni hi shahid main hun aur qaid-e-shadid
ham-safiran-e-chaman ra ki rasanad KHabre az man-e-nauha-gare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.