nala-e-jaan-e-KHasta-jaan arsh-e-barin pe jae kyon
nāla-e-jān-e-ḳhasta-jāñ arsh-e-barīñ pe jaa.e kyoñ
mere liye zamīn par sāhab-e-arsh aa.e kyoñ
nūr-e-zamīn-o-āsmāñ dīda-e-dil meñ aa.e kyoñ
mere siyāh-ḳhāne meñ koī diyā jalā.e kyoñ
zaḳhm ko ghaav kyoñ banāo dard ko aur kyoñ baḌhāo
nisbat-e-hū ko toḌ kar kījiye haa.e haa.e kyoñ
baḳhshne vaalā jab mirā afv pe hai tulā huā
mujh sā gunāhgār phir jurm se baaz aa.e kyoñ
'amjad'-e-ḳhasta-hāl kī puurī ho kyūñkar aarzū
dil hī nahīñ jab us ke paas matlab-e-dil bar aa.e kyoñ
nala-e-jaan-e-KHasta-jaan arsh-e-barin pe jae kyon
mere liye zamin par sahab-e-arsh aae kyon
nur-e-zamin-o-asman dida-e-dil mein aae kyon
mere siyah-KHane mein koi diya jalae kyon
zaKHm ko ghaw kyon banao dard ko aur kyon baDhao
nisbat-e-hu ko toD kar kijiye hae hae kyon
baKHshne wala jab mera afw pe hai tula hua
mujh sa gunahgar phir jurm se baz aae kyon
'amjad'-e-KHasta-haal ki puri ho kyunkar aarzu
dil hi nahin jab us ke pas matlab-e-dil bar aae kyon
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 117)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.