nala-e-saba tanha phul ki hansi tanha
nala-e-saba tanha phul ki hansi tanha
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
nāla-e-sabā tanhā phuul kī hañsī tanhā
is chaman kī duniyā meñ hai kalī kalī tanhā
raat din ke hañgāme ek muhīb tanhā.ī
sub.h-e-zīst bhī tanhā shām-e-zīst bhī tanhā
kaun kis kā ġham khaa.e kaun kis ko bahlā.e
terī be-kasī tanhā mary bebasī tanhā
dekhiye to hote haiñ saare ham-qadam rah-rav
kāTiye to kaTtī hai rāh-e-zindagī tanhā
chārasāz ho kar bhī husn ke ye tevar haiñ
dard se taḌaptā hai soz-e-āshiqī tanhā
nala-e-saba tanha phul ki hansi tanha
is chaman ki duniya mein hai kali kali tanha
raat din ke hangame ek muhib tanhai
subh-e-zist bhi tanha sham-e-zist bhi tanha
kaun kis ka gham khae kaun kis ko bahlae
teri be-kasi tanha mary bebasi tanha
dekhiye to hote hain sare ham-qadam rah-raw
kaTiye to kaTti hai rah-e-zindagi tanha
chaarasaz ho kar bhi husn ke ye tewar hain
dard se taDapta hai soz-e-ashiqi tanha
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 141)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.