naale majbūroñ ke ḳhālī nahīñ jaane vaale
haiñ ye sotā huā insāf jagāne vaale
had se Takrātī hai jo shai vo palaTtī hai zarūr
ḳhud bhī ro.eñge ġharīboñ ko rulāne vaale
chup hai parvāna to kyā sham.a ko ḳhud hai iqrār
aap hī jalte haiñ auroñ ko jalāne vaale
'ārzū' zikr zabānoñ pe hai ibrat ke liye
miTne vaale haiñ na baaqī haiñ miTāne vaale
nale majburon ke KHali nahin jaane wale
hain ye sota hua insaf jagane wale
had se Takraati hai jo shai wo palaTti hai zarur
KHud bhi roenge gharibon ko rulane wale
chup hai parwana to kya shama ko KHud hai iqrar
aap hi jalte hain auron ko jalane wale
'arzu' zikr zabanon pe hai ibrat ke liye
miTne wale hain na baqi hain miTane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.