nam behad the magar un ka nishan koi na tha
naam behad the magar un kā nishāñ koī na thā
bastiyāñ hī bastiyāñ thiiñ pāsbāñ koī na thā
ḳhurram-o-shādāb chehre sābit-o-sayyār dil
ik zamīñ aisī thī jis kā āsmāñ koī na thā
kyā balā kī shaam thī sub.hoñ shaboñ ke darmiyāñ
aur maiñ un manziloñ par thā jahāñ koī na thā
kūktī thī bāñsurī chāroñ dishāoñ meñ 'munīr'
par nagar meñ us sadā kā rāz-dāñ koī na thā
nam behad the magar un ka nishan koi na tha
bastiyan hi bastiyan thin pasban koi na tha
KHurram-o-shadab chehre sabit-o-sayyar dil
ek zamin aisi thi jis ka aasman koi na tha
kya bala ki sham thi subhon shabon ke darmiyan
aur main un manzilon par tha jahan koi na tha
kukti thi bansuri chaaron dishaon mein 'munir'
par nagar mein us sada ka raaz-dan koi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.