nam bhi achchha sa tha chehra bhi tha mahtab sa
naam bhī achchhā sā thā chehra bhī thā mahtāb sā
haañ hameñ kuchh yaad hotā hai magar kuchh ḳhvāb sā
ye mire siine meñ dil rakkhā hai yā koī chakor
chāñdnī rātoñ meñ kyuuñ rahtā huuñ maiñ betāb sā
ho gayā kis zikr se ye murta.ish saarā vajūd
tār-e-sāz-e-dil pe āḳhir kyā lagā mizrāb sā
kuchh kitābeñ aur qalam kāġhaz ke kuchh purzoñ pe sher
mere ghar meñ hai yahī bas qīmtī asbāb sā
paañv rakhte hī bahā kar le gayā sailāb meñ
duur se lagtā thā jo dariyā hameñ pāyāb sā
is tarah ke kuchh havārī saath iisā ke bhī the
jis tarah hai gird mere halqa-e-ahbāb sā
āsmāñ par aañkh sūraj kī na bujh jaa.e kahīñ
hai zamīñ par raushnī kā is qadar sailāb sā
nam bhi achchha sa tha chehra bhi tha mahtab sa
han hamein kuchh yaad hota hai magar kuchh KHwab sa
ye mere sine mein dil rakkha hai ya koi chakor
chandni raaton mein kyun rahta hun main betab sa
ho gaya kis zikr se ye murtaish sara wajud
tar-e-saz-e-dil pe aaKHir kya laga mizrab sa
kuchh kitaben aur qalam kaghaz ke kuchh purzon pe sher
mere ghar mein hai yahi bas qimti asbab sa
panw rakhte hi baha kar le gaya sailab mein
dur se lagta tha jo dariya hamein payab sa
is tarah ke kuchh hawari sath isa ke bhi the
jis tarah hai gird mere halqa-e-ahbab sa
aasman par aankh suraj ki na bujh jae kahin
hai zamin par raushni ka is qadar sailab sa
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 12.11.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.