nam jis ka ghurur hota hai
naam jis kā ġhurūr hotā hai
ek din chūr-chūr hotā hai
jāntā hī nahīñ utarnā jo
'ishq meñ vo surūr hotā hai
yaañ añdherā sadā nahīñ rahtā
yaañ saverā zarūr hotā hai
jagmagātā jahāñ unhīñ se hai
chāñd tāroñ meñ nuur hotā hai
koī ham se baḌā nahīñ jag meñ
kyoñ hameñ ye futūr hotā hai
baat kaise kaheñ salīqe se
shā'iroñ ko shu'ūr hotā hai
nam jis ka ghurur hota hai
ek din chur-chur hota hai
jaanta hi nahin utarna jo
'ishq mein wo surur hota hai
yan andhera sada nahin rahta
yan sawera zarur hota hai
jagmagata jahan unhin se hai
chand taron mein nur hota hai
koi hum se baDa nahin jag mein
kyon hamein ye futur hota hai
baat kaise kahen saliqe se
sha'iron ko shu'ur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.