Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nam se gandhi ke chiDh bair aazadi se hai

Zafar Kamali

nam se gandhi ke chiDh bair aazadi se hai

Zafar Kamali

MORE BYZafar Kamali

    naam se gāñdhī ke chiḌh bair āzādī se hai

    nafratoñ khaad haiñ ulfat magar khādī se hai

    ālimoñ ilm se vo rabt hai is daur meñ

    rabt dhobī ke gad.he jis tarah laadī se hai

    ḳhvāb-e-ġhaflat se vahī nisbat hai merī qaum ko

    āshiqoñ jo ta.alluq dil barbādī se hai

    shauharoñ se bībayāñ laḌtī haiñ chhāpa-mār jañg

    rābta un bhī kyā kashmīr vaadī se hai

    dekhnā hai ab yahī detā hai kis ko kaun maat

    sāmnā jantā phir kursī ke fariyādī se hai

    jaise sayyādoñ ko sayyādī se rahtī hai ġharaz

    kaam ustādoñ ko vaise apnī ustādī se hai

    baap daadā ke nusḳhe meñ hai apnī bhī shifā

    ham ko derīna ta.alluq ḳhāna-dāmādī se hai

    sharm se hotā nahīñ hai vāsta be-sharm ko

    jo muḳhannas ho use kyā vāsta shādī se hai

    dostoñ dostī dekhī hai jab se ai 'zafar'

    ishq vīrāne se hai to vahshat ābādī se hai

    nam se gandhi ke chiDh bair aazadi se hai

    nafraton ki khad hain ulfat magar khadi se hai

    aalimon ka ilm se wo rabt hai is daur mein

    rabt dhobi ke gadhe ka jis tarah ladi se hai

    KHwab-e-ghaflat se wahi nisbat hai meri qaum ko

    aashiqon ka jo talluq dil ki barbaadi se hai

    shauharon se bibayan laDti hain chhapa-mar jang

    rabta un ka bhi kya kashmir ki wadi se hai

    dekhna hai ab yahi deta hai kis ko kaun mat

    samna janta ka phir kursi ke fariyaadi se hai

    jaise sayyaadon ko sayyaadi se rahti hai gharaz

    kaam ustadon ko waise apni ustadi se hai

    bap dada ke hi nusKHe mein hai apni bhi shifa

    hum ko derina talluq KHana-damadi se hai

    sharm se hota nahin hai wasta be-sharm ko

    jo muKHannas ho use kya wasta shadi se hai

    doston ki dosti dekhi hai jab se ai 'zafar'

    ishq virane se hai to wahshat aabaadi se hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now