nam se uske pukarun KHud ko
naam se us ke pukārūñ ḳhud ko
aaj hairān hī kar duuñ ḳhud ko
dast-bardār huā vo mujh se
ab maiñ jis tarh luTā.ūñ ḳhud ko
mere hisse meñ mirā kuchh bhī nahīñ
us se mil jā.ūñ to pā.ūñ ḳhud ko
naam hī le le tumhārā koī
donoñ hāthoñ se luTā.ūñ ḳhud ko
ban chukā jitnā mujhe banñā thā
chhīn kar chaak se pheñkūñ ḳhud ko
nam se us ke pukarun KHud ko
aaj hairan hi kar dun KHud ko
dast-bardar hua wo mujh se
ab main jis tarh luTaun KHud ko
mere hisse mein mera kuchh bhi nahin
us se mil jaun to paun KHud ko
nam hi le le tumhaara koi
donon hathon se luTaun KHud ko
ban chuka jitna mujhe banna tha
chhin kar chaak se phenkun KHud ko
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 93)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.