nama tera main le kar munh dekh rah gaya tha
naama tirā maiñ le kar muñh dekh rah gayā thā
kyā jāniye ki qāsid kyā mujh ko kah gayā thā
kūche se apne tū ne mujh ko abas uThāyā
sab to chale ga.e the ik maiñ hī rah gayā thā
pahle jo aañsū dekhā lohū sā laal tum ne
nāseh vo dil hamārā ḳhuuñ ho ke bah gayā thā
kuchh bhī na sūjhtā thā us bin mujhe to 'āsif'
jis din satī yahāñ se vo rashk-e-mah gayā thā
nama tera main le kar munh dekh rah gaya tha
kya jaaniye ki qasid kya mujh ko kah gaya tha
kuche se apne tu ne mujh ko abas uThaya
sab to chale gae the ek main hi rah gaya tha
pahle jo aansu dekha lohu sa lal tum ne
naseh wo dil hamara KHun ho ke bah gaya tha
kuchh bhi na sujhta tha us bin mujhe to 'asif'
jis din sati yahan se wo rashk-e-mah gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.