narawa sabt kiya kun ka ishaara kar ke
nāravā sabt kiyā kun kā ishāra kar ke
dekhnā hai ye tamāshā bhī dobāra kar ke
haq-pasandī ne kahāñ chain diloñ ko baḳhshā
log ummīd pe aa.e the sahārā kar ke
maslahat pā ke mūarriḳh ne kiyā dafn use
log ḳhush the unhīñ yādoñ pe guzārā kar ke
chand tājir haiñ kuchh āshiq haiñ aur ik do shā.ir
dil ke bāzār meñ baiThe haiñ ḳhasāra kar ke
ik laqab de ke use nām-o-nishāñ chhīn liyā
ishq kā qais ne ye naqsh ubhārā kar ke
kab likhe se hī huā koī kisī kā 'āmir'
aap ḳhud ke bhī hue ḳhud ko gavāra kar ke
narawa sabt kiya kun ka ishaara kar ke
dekhna hai ye tamasha bhi dobara kar ke
haq-pasandi ne kahan chain dilon ko baKHsha
log ummid pe aae the sahaara kar ke
maslahat pa ke muarriKH ne kiya dafn use
log KHush the unhin yaadon pe guzara kar ke
chand tajir hain kuchh aashiq hain aur ek do shair
dil ke bazar mein baiThe hain KHasara kar ke
ek laqab de ke use nam-o-nishan chhin liya
ishq ka qais ne ye naqsh ubhaara kar ke
kab likhe se hi hua koi kisi ka 'amir'
aap KHud ke bhi hue KHud ko gawara kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.