nāseh ko buḌhāpe meñ hai armān abhī tak
kahte haiñ vo biivī ko mirī jaan abhī tak
khole hue baiThe haiñ vo dūkān abhī tak
phīkā hai magar shaiḳh kā pakvān abhī tak
sar hiltā hai thūthan meñ koī daañt nahīñ haiñ
ban paayā na TuuTā huā dālān abhī tak
chappal se marammat hue guzrā hai zamāna
hañstā hai mujhe dekh ke darbān abhī tak
insān ne ārām kī har chiiz banā lī
jo ban na sakā ek bhī insān abhī tak
kal us ko takabbur thā jhukā.ūñgā nahīñ sar
insāñ hai magar pairo-e-shaitān abhī tak
maġhrib ke luTere to ga.e desh se apne
har ghar meñ girānī to hai mehmān abhī tak
mullā hoñ ki panDit hoñ vo shā.ir ho ki netā
mashkūk hai har ek kā īmān abhī tak
biivī ne tamāñchoñ se jo muñh laal kiyā thā
'nāvak' ko miyāñ yaad hai vo paan abhī tak
naseh ko buDhape mein hai arman abhi tak
kahte hain wo biwi ko meri jaan abhi tak
khole hue baiThe hain wo dukan abhi tak
phika hai magar shaiKH ka pakwan abhi tak
sar hilta hai thuthan mein koi dant nahin hain
ban paya na TuTa hua dalan abhi tak
chappal se marammat hue guzra hai zamana
hansta hai mujhe dekh ke darban abhi tak
insan ne aaram ki har chiz bana li
jo ban na saka ek bhi insan abhi tak
kal us ko takabbur tha jhukaunga nahin sar
insan hai magar pairo-e-shaitan abhi tak
maghrib ke luTere to gae desh se apne
har ghar mein girani to hai mehman abhi tak
mulla hon ki panDit hon wo shair ho ki neta
mashkuk hai har ek ka iman abhi tak
biwi ne tamanchon se jo munh lal kiya tha
'nawak' ko miyan yaad hai wo pan abhi tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.