naseha aaya nasihat hai sunane ke liye
naseha aaya nasihat hai sunane ke liye
Sardar Genda Singh Mashriqi
MORE BYSardar Genda Singh Mashriqi
nāsehā aayā nasīhat hai sunāne ke liye
yā ki aayā hai yahāñ tere satāne ke liye
aa ke lāshe pe mire vo ābdīda gar huā
ye bahānā āñsuoñ kā hai bahāne ke liye
tum jo kahte ho ki kyā vo aisī jaldī mar gayā
kyā haiñ barsoñ chāhiyeñ ik jaan jaane ke liye
kyā huā gar maut aa.ī hai vo aane ke liye
kyā huā gar jaañ ga.ī hai vo bhī jaane ke liye
hai faqat parhez ye kah do marīz-e-ishq se
piine ko ḳhūn-e-jigar hai ġham hai khāne ke liye
muñh meñ zāhid ke bhī haiñ do daañt hāthī kī tarah
ik dikhāne ke liye hai ek khāne ke liye
kaun hai zer-e-falak phirtā hai jo apnī ḳhushī
phir rahe haiñ sab jahāñ meñ āb-o-dāne ke liye
peT ke ġham ne kiyā hai sab jahāñ ko muntashir
baap se beTā judā hai āb-o-dāne ke liye
jalva baḳhshā vo mujhe tere ruḳh-e-pur-nūr ne
tuur par muusā gayā thā jis ke paane ke liye
dekh kar aayā hai nāseh kyā jahannam kā azaab
haiñ faqat ye jāhiloñ kā dil Darāne ke liye
rah gayā apnā kaleja thaam jallād-e-falak
jab uThāyā us ne ḳhanjar ḳhuuñ bahāne ke liye
aab to dete ho ḳhanjar ko magar ye soch lo
ḳhuun merā chāhiye us ko bujhāne ke liye
va.ada āshiq se na ho sachchā to jhūTā hī sahī
chāhiye kuchh to tasallī dil baḌhāne ke liye
muñh na dekhā aish kā tadbīr ham ne laakh kī
ġham ghaTāne ke liye farhat baḌhāne ke liye
jab kahā maiñ ne ki kyuuñ bāteñ banāte ho bahut
hañs ke bole bāteñ hotī haiñ banāne ke liye
ai dil-e-nādāñ nahīñ daulat dabāne ke liye
ḳharch kar us ko vo hai khāne khilāne ke liye
jab kahā merā faqat hai ek bose kā savāl
bole daulat husn kī kyā hai luTāne ke liye
hai bulāyā 'mashriqī' ko tum ne jo pesh-e-raqīb
kyā nikālā thā ye nusḳha dil dukhāne ke liye
naseha aaya nasihat hai sunane ke liye
ya ki aaya hai yahan tere satane ke liye
aa ke lashe pe mere wo aabdida gar hua
ye bahana aansuon ka hai bahane ke liye
tum jo kahte ho ki kya wo aisi jaldi mar gaya
kya hain barson chahiyen ek jaan jaane ke liye
kya hua gar maut aai hai wo aane ke liye
kya hua gar jaan gai hai wo bhi jaane ke liye
hai faqat parhez ye kah do mariz-e-ishq se
pine ko KHun-e-jigar hai gham hai khane ke liye
munh mein zahid ke bhi hain do dant hathi ki tarah
ek dikhane ke liye hai ek khane ke liye
kaun hai zer-e-falak phirta hai jo apni KHushi
phir rahe hain sab jahan mein aab-o-dane ke liye
peT ke gham ne kiya hai sab jahan ko muntashir
bap se beTa juda hai aab-o-dane ke liye
jalwa baKHsha wo mujhe tere ruKH-e-pur-nur ne
tur par musa gaya tha jis ke pane ke liye
dekh kar aaya hai naseh kya jahannam ka azab
hain faqat ye jahilon ka dil Darane ke liye
rah gaya apna kaleja tham jallad-e-falak
jab uThaya us ne KHanjar KHun bahane ke liye
aab to dete ho KHanjar ko magar ye soch lo
KHun mera chahiye us ko bujhane ke liye
wada aashiq se na ho sachcha to jhuTa hi sahi
chahiye kuchh to tasalli dil baDhane ke liye
munh na dekha aish ka tadbir hum ne lakh ki
gham ghaTane ke liye farhat baDhane ke liye
jab kaha main ne ki kyun baaten banate ho bahut
hans ke bole baaten hoti hain banane ke liye
ai dil-e-nadan nahin daulat dabane ke liye
KHarch kar us ko wo hai khane khilane ke liye
jab kaha mera faqat hai ek bose ka sawal
bole daulat husn ki kya hai luTane ke liye
hai bulaya 'mashriqi' ko tum ne jo pesh-e-raqib
kya nikala tha ye nusKHa dil dukhane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.