nash us aashiq-e-nashad ki uThwane do
na.ash us āshiq-e-nāshād kī uThvāne do
ab use zer-e-zamīñ chain se so jaane do
dil bahal jaa.e to tanhā.ī kī kulfat bhī miTe
shab-e-furqat kī balāoñ ko to aa jaane do
saiñkaḌoñ gauhar-e-nāyāb to paidā hoñge
chand jhāle mirī āñkhoñ se baras jaane do
be kafan pheñk hī denā mire lāshe ko magar
kūcha-e-pāk meñ mahbūb ke mar jaane do
liye baiThā huuñ bayābān meñ pahlū ḳhālī
kyā milā.e haiñ junūñ tū ne ye vīrāne do
mai kī hājat na kabhī mujh ko rahī ai saaqī
ḳhuuñ se labrez haiñ un āñkhoñ ke paimāne do
sham.a-rū jaañ bhī huī dil bhī huā tujh pe fidā
jal ga.e ishq ke hāthoñ se ye parvāne do
saath mere dil-e-nāshād hai tanhā maiñ nahīñ
aa.e haiñ dar pe shah-e-dīñ tire dīvāne do
saath us zulf ke uljhe na hamārī qismat
ab ise tum dil-e-sad-chāk se suljhāne do
hogā pur-nūr siyah-ḳhāna hamāre dil kā
is meñ tum ġhaus-e-ḳhudā ko zarā aa jaane do
rah chukā dair-o-kalīsā meñ bahut muddat tak
ai junūñ sū-e-haram ab to mujhe jaane do
un ke fiqroñ meñ na ā.eñge ye sachche āshiq
vaa.iz aa.e haiñ jo samjhāne to samjhāne do
faḳhr hai naaz hai us par to 'jamīla' mujh ko
tum sag-kū-e-jamālī mujhe kahlāne do
nash us aashiq-e-nashad ki uThwane do
ab use zer-e-zamin chain se so jaane do
dil bahal jae to tanhai ki kulfat bhi miTe
shab-e-furqat ki balaon ko to aa jaane do
sainkaDon gauhar-e-nayab to paida honge
chand jhaale meri aankhon se baras jaane do
be kafan phenk hi dena mere lashe ko magar
kucha-e-pak mein mahbub ke mar jaane do
liye baiTha hun bayaban mein pahlu KHali
kya milae hain junun tu ne ye virane do
mai ki hajat na kabhi mujh ko rahi ai saqi
KHun se labrez hain un aankhon ke paimane do
shama-ru jaan bhi hui dil bhi hua tujh pe fida
jal gae ishq ke hathon se ye parwane do
sath mere dil-e-nashad hai tanha main nahin
aae hain dar pe shah-e-din tere diwane do
sath us zulf ke uljhe na hamari qismat
ab ise tum dil-e-sad-chaak se suljhane do
hoga pur-nur siyah-KHana hamare dil ka
is mein tum ghaus-e-KHuda ko zara aa jaane do
rah chuka dair-o-kalisa mein bahut muddat tak
ai junun su-e-haram ab to mujhe jaane do
un ke fiqron mein na aaenge ye sachche aashiq
waiz aae hain jo samjhane to samjhane do
faKHr hai naz hai us par to 'jamila' mujh ko
tum sag-ku-e-jamali mujhe kahlane do
- Book : Diwan-e-jamila (Pg. 187)
- Author : Jamila Khuda Bakhsh
- Publication : Khuda Bakhsh Oriental Public Library, Patna (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.