naw tanha hai aur bhanwar tanha
naav tanhā hai aur bhañvar tanhā
maiñ bhī tanhā mirā safar tanhā
mahfileñ mere pīchhe ā.eñgī
maiñ chalī jā.ūñgī magar tanhā
bazm meñ zahr maiñ ne pī to liyā
jheltī huuñ maiñ ab asar tanhā
raaz kī baat khul na jaa.e kahīñ
us se kahnā mirī ḳhabar tanhā
kārvāñ jis taraf se guzrā thā
dekhtī huuñ maiñ vo Dagar tanhā
naw tanha hai aur bhanwar tanha
main bhi tanha mera safar tanha
mahfilen mere pichhe aaengi
main chali jaungi magar tanha
bazm mein zahr main ne pi to liya
jhelti hun main ab asar tanha
raaz ki baat khul na jae kahin
us se kahna meri KHabar tanha
karwan jis taraf se guzra tha
dekhti hun main wo Dagar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.