naz-o-ghamza-numa kalam aae
nāz-o-ġhamza-numā kalām aa.e
tere naame the mere naam aa.e
ham kise ham-safar kaheñ ki yahāñ
jitne saath aa.e chand gaam aa.e
jaane kyā baat hai ki tere huzūr
lab pe har baat nā-tamām aa.e
haa.e tujh bin tujhe ḳhabar hī nahīñ
kitne be-kaif sub.h-o-shām aa.e
ek tere ḳhulūs-e-dil ke sivā
ham kahīñ se na tishna-kām aa.e
ab Thahartī nahīñ kahīñ bhī nazar
de duā koī yā salām aa.e
'daur' kyā kufr hai ki ab lab par
allāh allāh na raam raam aa.e
naz-o-ghamza-numa kalam aae
tere name the mere nam aae
hum kise ham-safar kahen ki yahan
jitne sath aae chand gam aae
jaane kya baat hai ki tere huzur
lab pe har baat na-tamam aae
hae tujh bin tujhe KHabar hi nahin
kitne be-kaif subh-o-sham aae
ek tere KHulus-e-dil ke siwa
hum kahin se na tishna-kaam aae
ab Thaharti nahin kahin bhi nazar
de dua koi ya salam aae
'daur' kya kufr hai ki ab lab par
allah allah na ram ram aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.