nazninan-e-jahan shobada-gar pakke hain
nāznīnān-e-jahāñ shobada-gar pakke haiñ
dekhne ko to ye bhole haiñ magar pakke haiñ
ham luTā deñge mohabbat meñ matā-e-hastī
ham dikhā deñge irāde ke agar pakke haiñ
puḳhta-kārī kī ḳhabar detī hai ḳhāmī un kī
kaan ke kachche haiñ matlab ke magar pakke haiñ
ye to farmā.iye qasmoñ kī zarūrat kyā thī
aap iqrār ke va.ade ke agar pakke haiñ
ḳhauf tūfān-e-havādis kā nahīñ mujh ko 'azīz'
jin kī buniyād hai mazbūt vo ghar pakke haiñ
nazninan-e-jahan shobada-gar pakke hain
dekhne ko to ye bhole hain magar pakke hain
hum luTa denge mohabbat mein mata-e-hasti
hum dikha denge irade ke agar pakke hain
puKHta-kari ki KHabar deti hai KHami un ki
kan ke kachche hain matlab ke magar pakke hain
ye to farmaiye qasmon ki zarurat kya thi
aap iqrar ke wade ke agar pakke hain
KHauf tufan-e-hawadis ka nahin mujh ko 'aziz'
jin ki buniyaad hai mazbut wo ghar pakke hain
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 265)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.