nadi pahaD ghane jangalon mein charcha tha
nadī pahāḌ ghane jañgaloñ meñ charchā thā
vo be-gunāh shajar be-libās kitnā thā
milī thī shāḳh-e-samar nūr-e-jism-o-jāñ ke liye
jise vo haath lagā kar bujhā bujhā sā thā
tamām umr dil-o-jāñ murāqabe meñ rahe
latīf-tar lab-o-ruḳhsār kā vazīfa thā
kuchh is tarah saf-e-sayyārgāñ huī barham
phir is ke baad na sūraj thā aur na saaya thā
jahāñ pe ḳhāk-e-bayābāñ ḳhirām kartī hai
vahāñ pe takiya-e-mahtāb thā darīcha thā
na.ī sharī.at-e-jamhūr basne vaalī thī
na.e ufuq se vo 'ḳhurshīd' ugne vaalā thā
nadi pahaD ghane jangalon mein charcha tha
wo be-gunah shajar be-libas kitna tha
mili thi shaKH-e-samar nur-e-jism-o-jaan ke liye
jise wo hath laga kar bujha bujha sa tha
tamam umr dil-o-jaan muraqabe mein rahe
latif-tar lab-o-ruKHsar ka wazifa tha
kuchh is tarah saf-e-sayyargan hui barham
phir is ke baad na suraj tha aur na saya tha
jahan pe KHak-e-bayaban KHiram karti hai
wahan pe takiya-e-mahtab tha daricha tha
nai shariat-e-jamhur basne wali thi
nae ufuq se wo 'KHurshid' ugne wala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.