nadim chheD na us dukh bhare fasane ko
nadīm chheḌ na us dukh bhare fasāne ko
ujaḌ gayā ki ujaḌnā thā āshiyāne ko
vo muztarib haiñ mirī zindagī meñ aane ko
magar ye baat gavārā nahīñ zamāne ko
tirī vafā kī qasam sach sahī magar ai dost
fareb de nahīñ saktā koī zamāne ko
uThe the mere liye hī tamām hangāme
mujhe miTā ke sukūñ mil gayā zamāne ko
nadim chheD na us dukh bhare fasane ko
ujaD gaya ki ujaDna tha aashiyane ko
wo muztarib hain meri zindagi mein aane ko
magar ye baat gawara nahin zamane ko
teri wafa ki qasam sach sahi magar ai dost
fareb de nahin sakta koi zamane ko
uThe the mere liye hi tamam hangame
mujhe miTa ke sukun mil gaya zamane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.