nae charagh ki lau panw se lipaTti hai
na.e charāġh kī lau paañv se lipaTtī hai
magar vo raat kahāñ rāste se haTtī hai
maiñ ḳhānqāh-e-badan se udaas lauT aayā
yahāñ bhī chāhne vāloñ meñ ḳhaak baTtī hai
zarā sā sach bhī kisī se kahā nahīñ jaatā
zarā sī baat pe gardan hamārī kaTtī hai
ye kis ke paañv rakhe haiñ havā ke siine par
agar maiñ saañs bhī letā huuñ 'umr ghaTtī hai
abhī bahut haiñ añdheroñ ko pūjne vaale
yahāñ charāġh bujhāo to raat kaTtī hai
nae charagh ki lau panw se lipaTti hai
magar wo raat kahan raste se haTti hai
main KHanqah-e-badan se udas lauT aaya
yahan bhi chahne walon mein KHak baTti hai
zara sa sach bhi kisi se kaha nahin jata
zara si baat pe gardan hamari kaTti hai
ye kis ke panw rakhe hain hawa ke sine par
agar main sans bhi leta hun 'umr ghaTti hai
abhi bahut hain andheron ko pujne wale
yahan charagh bujhao to raat kaTti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.