nae chehre purane ho na jaen
na.e chehre purāne ho na jaa.eñ
in āñkhoñ ke ḳhazāne kho na jaa.eñ
sajā to lī hai tum ne muskurāhaT
kahīñ ye hoñT zaḳhmī ho na jaa.eñ
safar meñ tum hamāre saath rahnā
kahīñ ham rāstoñ meñ kho na jaa.eñ
tumhārī muntazir vo būḌhī āñkheñ
lipaT kar āhaToñ se so na jaa.eñ
hamārī ḳhūb-sūrat kyāriyoñ meñ
rutoñ ke haath kāñTe bo na jaa.eñ
nae chehre purane ho na jaen
in aankhon ke KHazane kho na jaen
saja to li hai tum ne muskurahaT
kahin ye honT zaKHmi ho na jaen
safar mein tum hamare sath rahna
kahin hum raston mein kho na jaen
tumhaari muntazir wo buDhi aankhen
lipaT kar aahaTon se so na jaen
hamari KHub-surat kyariyon mein
ruton ke hath kanTe bo na jaen
- Book : karb-e-anaa (Pg. 76)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.