Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nae dinon ke nae sahifon mein zikr-e-mehr-o-wafa nahin hai

Anwar Aleemi

nae dinon ke nae sahifon mein zikr-e-mehr-o-wafa nahin hai

Anwar Aleemi

MORE BYAnwar Aleemi

    na.e dinoñ ke na.e sahīfoñ meñ zikr-e-mehr-o-vafā nahīñ hai

    mohabbatoñ jasāratoñ sazā nahīñ hai jazā nahīñ hai

    nigāh ke shoḳh-pan ko begānagī aaseb Das gayā hai

    muġhāyrat fusūñ-zada dil junūñ ke shāyāñ rahā nahīñ hai

    koī bhī sajnī kisī bhī sājan muntazir hai na muztarib hai

    tamām baam aur dar bujhe haiñ kahīñ bhī raushan diyā nahīñ hai

    hayāt ke pur-jamāl manzar pe koī nutq aur qalam na mahkā

    nayā qalamkār nudrat-e-fan ḳhushbuoñ par fidā nahīñ hai

    yahīñ pe kal ham se tum se yaaro muaddatoñ ko janam milā thā

    dayār-e-yārāñ vahī hai lekin koī vafā-āshnā nahīñ hai

    visāl-ghaḌiyoñ firāq-lamhoñ ke ġham, tarab sab fasānche haiñ

    milan aur nā-milan sukh dukh diloñ tah meñ chhupā nahīñ hai

    maiñ dair o ka.aba meñ DhūñD aayā to maiñ ne paayā ye ilm o irfāñ

    maiñ ek insāñ huuñ merī hastī se koī hastī varā nahīñ hai

    vo chashm-e-bīnā manzileñ thiiñ ye kor-chashmī ke marhale haiñ

    purānī pahchān mar ga.ī hai kisī se koī milā nahīñ hai

    nae dinon ke nae sahifon mein zikr-e-mehr-o-wafa nahin hai

    mohabbaton ki jasaraton ki saza nahin hai jaza nahin hai

    nigah ke shoKH-pan ko beganagi ka aaseb Das gaya hai

    mughayrat ka fusun-zada dil junun ke shayan raha nahin hai

    koi bhi sajni kisi bhi sajan ki muntazir hai na muztarib hai

    tamam baam aur dar bujhe hain kahin bhi raushan diya nahin hai

    hayat ke pur-jamal manzar pe koi nutq aur qalam na mahka

    naya qalamkar nudrat-e-fan ki KHushbuon par fida nahin hai

    yahin pe kal hum se tum se yaro muaddaton ko janam mila tha

    dayar-e-yaran wahi hai lekin koi wafa-ashna nahin hai

    visal-ghaDiyon firaq-lamhon ke gham, tarab sab fasanche hain

    milan ka aur na-milan ka sukh dukh dilon ki tah mein chhupa nahin hai

    main dair o kaba mein DhunD aaya to main ne paya ye ilm o irfan

    main ek insan hun meri hasti se koi hasti wara nahin hai

    wo chashm-e-bina ki manzilen thin ye kor-chashmi ke marhale hain

    purani pahchan mar gai hai kisi se koi mila nahin hai

    Source:

    Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 55)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now