nae gul khile nae dil bane nae naqsh kitne ubhar gae
na.e gul khile na.e dil bane na.e naqsh kitne ubhar ga.e
vo payambarān-e-sad inqilāb jidhar jidhar se guzar ga.e
jo shahīd-e-rāh-e-vafā hue vo isī ḳhushī meñ magan rahe
ki jo din the un kī hayāt ke ġham-e-zindagī meñ guzar ga.e
abhī saath saath to the magar mujhe mere haal pe chhoḌ kar
mire ham-jalīs kahāñ ga.e mire ham-safīr kidhar ga.e
mirī justujū ko faqīh-e-shahr batā rahā hai sharīk-e-zeher
use kyā ḳhabar ki dimāġh o dil yahī zahr khā ke nikhar ga.e
are o adīb-e-fasurda-ḳhū are o muġhanni-e-rañg o bū
abhī hāshiye pe khaḌā hai tū bahut aage ahl-e-hunar ga.e
nae gul khile nae dil bane nae naqsh kitne ubhar gae
wo payambaran-e-sad inqilab jidhar jidhar se guzar gae
jo shahid-e-rah-e-wafa hue wo isi KHushi mein magan rahe
ki jo din the un ki hayat ke gham-e-zindagi mein guzar gae
abhi sath sath to the magar mujhe mere haal pe chhoD kar
mere ham-jalis kahan gae mere ham-safir kidhar gae
meri justuju ko faqih-e-shahr bata raha hai sharik-e-zeher
use kya KHabar ki dimagh o dil yahi zahr kha ke nikhar gae
are o adib-e-fasurda-KHu are o mughanni-e-rang o bu
abhi hashiye pe khaDa hai tu bahut aage ahl-e-hunar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.