nae har roz hote hadse achchhe nahin lagte
na.e har roz hote hādse achchhe nahīñ lagte
bahut hālāt bhī sahme hue achchhe nahīñ lagte
muhāfiz hai tirā dāman bahut hī ḳhuun meñ ālūd
magar ye daaġh dāman par tire achchhe nahīñ lagte
faqat amn-o-amāñ kī baat ho to achchhā lagtā hai
diloñ meñ ḳhauf dahshat vasvase achchhe nahīñ lagte
qadam pichhlā uThā.egā tabhī aage baḌhegā tū
shikasta dil shikasta hausle achchhe nahīñ lagte
ziyāda jānte haiñ jo ziyāda chup hī rahte haiñ
agar ham bhī ziyāda bolte achchhe nahīñ lagte
chalo mil kar raheñ jab phuul ik Daalī ke haiñ donoñ
guloñ ke darmiyāñ ye fāsle achchhe nahīñ lagte
amīrī aur ġharībī dekh kar ye faisle karnā
amīr-e-shahr tere faisle achchhe nahīñ lagte
tumheñ āvāz detā huuñ chale aao jahāñ ho tum
tumhāre hijr meñ ab ratjage achchhe nahīñ lagte
nasīhat aur hikāyat hai na.ī nasloñ kī hī ḳhātir
purāne daur ke ab falsafe achchhe nahīñ lagte
kabhī bārish kabhī garmī kabhī sardī zarūrī hai
kisī ko 'sād' mausam ek se achchhe nahīñ lagte
nae har roz hote hadse achchhe nahin lagte
bahut haalat bhi sahme hue achchhe nahin lagte
muhafiz hai tera daman bahut hi KHun mein aalud
magar ye dagh daman par tere achchhe nahin lagte
faqat amn-o-aman ki baat ho to achchha lagta hai
dilon mein KHauf dahshat waswase achchhe nahin lagte
qadam pichhla uThaega tabhi aage baDhega tu
shikasta dil shikasta hausle achchhe nahin lagte
ziyaada jaante hain jo ziyaada chup hi rahte hain
agar hum bhi ziyaada bolte achchhe nahin lagte
chalo mil kar rahen jab phul ek Dali ke hain donon
gulon ke darmiyan ye fasle achchhe nahin lagte
amiri aur gharibi dekh kar ye faisle karna
amir-e-shahr tere faisle achchhe nahin lagte
tumhein aawaz deta hun chale aao jahan ho tum
tumhaare hijr mein ab ratjage achchhe nahin lagte
nasihat aur hikayat hai nai naslon ki hi KHatir
purane daur ke ab falsafe achchhe nahin lagte
kabhi barish kabhi garmi kabhi sardi zaruri hai
kisi ko 'sad' mausam ek se achchhe nahin lagte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.