nae jahanon ka ek istiara kar ke lao
na.e jahānoñ kā ik isti.āra kar ke laao
badan kī ḳhaak uThāo sitāra kar ke laao
vagarna ishq meñ ik aañch kī kamī hogī
ye dil hai jaao ise pāra-pāra kar ke laao
tumhāre paas hī ham ḳhud ko chhoḌ aa.e haiñ
kabhī tum aao to ham ko hamārā kar ke laao
havas ke gahre samundar se haiñ ghire hue ham
hamāre sāmne ḳhud ko kinārā kar ke laao
tamām bichhḌe huoñ ko milāo aaj kī raat
tamām kho.e huoñ ko ishārā kar ke laao
nae jahanon ka ek istiara kar ke lao
badan ki KHak uThao sitara kar ke lao
wagarna ishq mein ek aanch ki kami hogi
ye dil hai jao ise para-para kar ke lao
tumhaare pas hi hum KHud ko chhoD aae hain
kabhi tum aao to hum ko hamara kar ke lao
hawas ke gahre samundar se hain ghire hue hum
hamare samne KHud ko kinara kar ke lao
tamam bichhDe huon ko milao aaj ki raat
tamam khoe huon ko ishaara kar ke lao
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 51)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 53)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.