nae libas ko hum tar-tar kya karte
na.e libās ko ham tār-tār kyā karte
milī thī bhiik meñ fasl-e-bahār kyā karte
ham apne zaḳhm-e-tamannā shumār kyā karte
tamām umr yahī kārobār kyā karte
jab āftāb ka.ī apnī dastaras meñ rahe
tumhīñ kaho ki charāġhoñ se pyaar kyā karte
hamāre haath meñ patthar the phal girāne ko
ham āñdhiy.oñ kā bhalā intizār kyā karte
kabhī ham apnī vafāoñ se mutma.in na hue
nigāh-e-yār tujhe sharmsār kyā karte
hamārā dard bhī kuchh tum se muḳhtalif to na thā
ham ahl-e-zarf the chīḳh-o-pukār kyā karte
unheñ bhī apnī ḳhushī thī aziiz ai 'asrār'
jo merā dil na dukhāte to yaar kyā karte
nae libas ko hum tar-tar kya karte
mili thi bhik mein fasl-e-bahaar kya karte
hum apne zaKHm-e-tamanna shumar kya karte
tamam umr yahi karobar kya karte
jab aaftab kai apni dastaras mein rahe
tumhin kaho ki charaghon se pyar kya karte
hamare hath mein patthar the phal girane ko
hum aandhiyon ka bhala intizar kya karte
kabhi hum apni wafaon se mutmain na hue
nigah-e-yar tujhe sharmsar kya karte
hamara dard bhi kuchh tum se muKHtalif to na tha
hum ahl-e-zarf the chiKH-o-pukar kya karte
unhen bhi apni KHushi thi aziz ai 'asrar'
jo mera dil na dukhate to yar kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.