nae mani nae uslub likhna
na.e ma.anī na.e uslūb likhnā
ġhazal ko chāñd kā mahbūb likhnā
shu.ūr-e-zindagī anqā hai lekin
safar ke zā.iqe marġhūb likhnā
hamārī fikr par kohre sajānā
matā.a-e-zehn ko maslūb likhnā
jahāñ zulmat ke pahre har qadam hoñ
hamāre shahr se mansūb likhnā
pilānā zahr paimāne badal kar
darūn-e-mai-kadā mashrūb likhnā
tum apne rū-ba-rū ā.īna rakh ke
kisī hamsā.e ko majzūb likhnā
tirā lahja hai 'nashtar' ehtajājī
paroñ par titliyoñ ke ḳhuub likhnā
nae mani nae uslub likhna
ghazal ko chand ka mahbub likhna
shuur-e-zindagi anqa hai lekin
safar ke zaiqe marghub likhna
hamari fikr par kohre sajaana
mataa-e-zehn ko maslub likhna
jahan zulmat ke pahre har qadam hon
hamare shahr se mansub likhna
pilana zahr paimane badal kar
darun-e-mai-kada mashrub likhna
tum apne ru-ba-ru aaina rakh ke
kisi hamsae ko majzub likhna
tera lahja hai 'nashtar' ehtajaji
paron par titliyon ke KHub likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.