na.e manzar kī justujū bhī karūñ
maiñ use apne rū-ba-rū bhī karūñ
sab se ummīd bhī rakhūñ achchhī
aur ek ek ko adū bhī karūñ
husn us kā mujhe ibādat sā
apnī āñkheñ zarā vuzū bhī karūñ
us ke dil ko pasījnā hai mujhe
apne aañsū kabhī lahū bhī karūñ
saarī maḳhlūq satr-posh nahīñ
husn ko rashk-e-ābrū bhī karūñ
le luuñ phūloñ se husn kī daulat
apnī ġhazloñ ko rañg-o-bū bhī karūñ
nae manzar ki justuju bhi karun
main use apne ru-ba-ru bhi karun
sab se ummid bhi rakhun achchhi
aur ek ek ko adu bhi karun
husn us ka mujhe ibaadat sa
apni aankhen zara wuzu bhi karun
us ke dil ko pasijna hai mujhe
apne aansu kabhi lahu bhi karun
sari maKHluq satr-posh nahin
husn ko rashk-e-abru bhi karun
le lun phulon se husn ki daulat
apni ghazlon ko rang-o-bu bhi karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.