nae mausam ki bashaarat hain hum
na.e mausam kī bashārat haiñ ham
bazm-e-imkān kī zīnat haiñ ham
ham se kyā aañkh milā.eñ mah-o-mahr
zarra-e-ḳhāk kī azmat haiñ ham
ham se sairāb havā qarya-e-husn
chashm-e-be-tāb kī fitrat haiñ ham
apnā kyā hai ki rahe yā na rahe
haañ magar terī zarūrat haiñ ham
dastaras meñ hai jahān-e-sahrā
ahl-e-dil ahl-e-mohabbat haiñ ham
dhyān meñ rahtā hai vo mus.haf-e-gul
har ghaḌī mahv-e-ibādat haiñ ham
nae mausam ki bashaarat hain hum
bazm-e-imkan ki zinat hain hum
hum se kya aankh milaen mah-o-mahr
zarra-e-KHak ki azmat hain hum
hum se sairab hawa qarya-e-husn
chashm-e-be-tab ki fitrat hain hum
apna kya hai ki rahe ya na rahe
han magar teri zarurat hain hum
dastaras mein hai jahan-e-sahra
ahl-e-dil ahl-e-mohabbat hain hum
dhyan mein rahta hai wo mushaf-e-gul
har ghaDi mahw-e-ibaadat hain hum
- Book : Urdu Quarterly BADBAAN (Pg. 127)
- Author : Nasir Bagdadi
- Publication : E-2, 8/14, Mayar Square, Block No.14 Gulshane-e-Iqbal (Oct. - Dec. 2002,Issue No 8)
- Edition : Oct. - Dec. 2002,Issue No 8
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.