nae uslub mein zinda hue hain
na.e uslūb meñ zinda hue haiñ
tabhī to harf-e-ā.inda hue haiñ
tulū-e-sub.h kī ummīd kam thī
duā-e-shab se tābinda hue haiñ
na kaam aayā jahāñ arz-e-hunar bhī
lab-e-iz.hār sharminda hue haiñ
badan meñ jiite jī jo mar ga.e the
vo apnī ruuh meñ zinda hue haiñ
hamārī sho.alagī sab se judā hai
bujhe haiñ ham to sozinda hue haiñ
miTā saktā nahīñ jin ko zamāna
kuchh aise naqsh-e-pā.inda hue haiñ
hameñ sūd-o-ziyāñ se kyā 'suḳhan' ham
na yābinda na gīrinda hue haiñ
nae uslub mein zinda hue hain
tabhi to harf-e-ainda hue hain
tulu-e-subh ki ummid kam thi
dua-e-shab se tabinda hue hain
na kaam aaya jahan arz-e-hunar bhi
lab-e-izhaar sharminda hue hain
badan mein jite ji jo mar gae the
wo apni ruh mein zinda hue hain
hamari shoalagi sab se juda hai
bujhe hain hum to sozinda hue hain
miTa sakta nahin jin ko zamana
kuchh aise naqsh-e-painda hue hain
hamein sud-o-ziyan se kya 'suKHan' hum
na yabinda na girinda hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.