nae zamanon ki chap to sar pe aa khaDi thi
na.e zamānoñ kī chaap to sar pe aa khaḌī thī
mirī samā'at guzishta advār meñ paḌī thī
udhar diye kā badan havā se thā paara paara
idhar añdhere kī aañkh meñ ik kiran gaḌī thī
falak pe thā ātishīñ daraḳhtoñ kā ek jañgal
aur un daraḳhtoñ ke biich tārīk jhoñpaḌī thī
samā.ī kis tarah merī āñkhoñ kī putliyoñ meñ
vo ek hairat jo ā.īne se bahut baḌī thī
jise piroyā thā apne hāthoñ se tere ġham ne
sadā-e-girya meñ hichkiyoñ kī ajab laḌī thī
hamārī palkoñ pe raqs karte hue sharāre
aur āsmāñ meñ kahīñ sitāroñ kī phuljaḌī thī
tulūa sub.h-e-hazār ḳhurshīd kī du'ā par
bujhe charāġhoñ kī raakh dāman pe aa paḌī thī
sabhī ġhamīñ the mire piyāle meñ zahr pā kar
maiñ mutma.in thā ki merī takmīl kī ghaḌī thī
savāl-e-ruḳh gulsitāñ meñ aayā to phuul Thahrā
laboñ kī hasrat suḳhan meñ pahuñchī to pankhuḌī thī
ye log to un dinoñ bhī nā-kHush the 'shahryārā'
ki jin dinoñ mere paas jaadū kī ik chhaḌī thī
nae zamanon ki chap to sar pe aa khaDi thi
meri sama'at guzishta adwar mein paDi thi
udhar diye ka badan hawa se tha para para
idhar andhere ki aankh mein ek kiran gaDi thi
falak pe tha aatishin daraKHton ka ek jangal
aur un daraKHton ke bich tarik jhonpaDi thi
samai kis tarah meri aankhon ki putliyon mein
wo ek hairat jo aaine se bahut baDi thi
jise piroya tha apne hathon se tere gham ne
sada-e-girya mein hichkiyon ki ajab laDi thi
hamari palkon pe raqs karte hue sharare
aur aasman mein kahin sitaron ki phuljaDi thi
tulua subh-e-hazar KHurshid ki du'a par
bujhe charaghon ki rakh daman pe aa paDi thi
sabhi ghamin the mere piyale mein zahr pa kar
main mutmain tha ki meri takmil ki ghaDi thi
sawal-e-ruKH gulsitan mein aaya to phul Thahra
labon ki hasrat suKHan mein pahunchi to pankhuDi thi
ye log to un dinon bhi na-kHush the 'shahryara'
ki jin dinon mere pas jadu ki ek chhaDi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.