nafa nuqsan dekha ja raha hai
naf.a nuqsān dekhā jā rahā hai
mohabbat meñ bhī sochā jā rahā hai
anā.eñ rehn rakkhī jā rahī haiñ
ḳhudī ko aaj bechā jā rahā hai
mirī ma.asūm sī kuchh ḳhvāhishoñ ko
sar-e-bāzār rauñdā jā rahā hai
koī sūraj savā neze pe lā kar
mirī himmat ko parkhā jā rahā hai
yahī kyā kam hai terī āshiqī meñ
hamārā naam likkhā jā rahā hai
mohabbat kī sazā paa.ī hai 'dā.em'
mirī sāñsoñ ko rokā jā rahā hai
nafa nuqsan dekha ja raha hai
mohabbat mein bhi socha ja raha hai
anaen rehn rakkhi ja rahi hain
KHudi ko aaj becha ja raha hai
meri masum si kuchh KHwahishon ko
sar-e-bazar raunda ja raha hai
koi suraj sawa neze pe la kar
meri himmat ko parkha ja raha hai
yahi kya kam hai teri aashiqi mein
hamara nam likkha ja raha hai
mohabbat ki saza pai hai 'daem'
meri sanson ko roka ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.