nafas nafas iztirab mein tha
nafas nafas iztirāb meñ thā
maiñ halqa-e-sad-itāb meñ thā
sabhī nazāre nazar meñ gum the
ki saarā manzar hijāb meñ thā
paḌhā to kuchh bhī na haath aayā
likhā bahut kuchh kitāb meñ thā
lahū kī aahaT pe chauñk uTThā
vo muddatoñ jaise ḳhvāb meñ thā
diloñ meñ raushan na.ī kahānī
purānā qissa kitāb meñ thā
bas ik hunar tah-ba-tah munavvar
bas ik suḳhan intiḳhāb meñ thā
maiñ us kī ḳhushbū meñ gum thā 'aḳhtar'
vo mere ġham ke hisāb meñ thā
nafas nafas iztirab mein tha
main halqa-e-sad-itab mein tha
sabhi nazare nazar mein gum the
ki sara manzar hijab mein tha
paDha to kuchh bhi na hath aaya
likha bahut kuchh kitab mein tha
lahu ki aahaT pe chaunk uTTha
wo muddaton jaise KHwab mein tha
dilon mein raushan nai kahani
purana qissa kitab mein tha
bas ek hunar tah-ba-tah munawwar
bas ek suKHan intiKHab mein tha
main us ki KHushbu mein gum tha 'aKHtar'
wo mere gham ke hisab mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.