nafas nafas ki mili hai mujhe saza kaisi
nafas nafas kī milī hai mujhe sazā kaisī
ye ret ret bikhartī huī anā kaisī
guzishta zaḳhmoñ ke Tāñke tamām TuuT ga.e
koī batā.e ki chalne lagī havā kaisī
sakūñ mile kisī lamha na ye bikhar jaa.e
atā huī hai mujhe zindagī ḳhudā kaisī
kabhī kabhī vo mujhe sun ke chauñk uTThegā
hai jañgaloñ meñ bhaTaktī huī sadā kaisī
'shamīm' aap to qaa.il the chup pighalne ke
laboñ pe aaj sisaktī huī sadā kaisī
nafas nafas ki mili hai mujhe saza kaisi
ye ret ret bikharti hui ana kaisi
guzishta zaKHmon ke Tanke tamam TuT gae
koi batae ki chalne lagi hawa kaisi
sakun mile kisi lamha na ye bikhar jae
ata hui hai mujhe zindagi KHuda kaisi
kabhi kabhi wo mujhe sun ke chaunk uTThega
hai jangalon mein bhaTakti hui sada kaisi
'shamim' aap to qail the chup pighalne ke
labon pe aaj sisakti hui sada kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.