Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nafi ko yun isbaat karo

Neelam Malik

nafi ko yun isbaat karo

Neelam Malik

MORE BYNeelam Malik

    nafi ko yuuñ isbāt karo

    ḳhatm tum apnī zaat karo

    duniyā se jab milne jaao

    pahle ḳhud se baat karo

    din bhar mere saath rahe

    ḳhud meñ basar ab raat karo

    raat zulf sañvar jaa.e

    hijr ko gar mashshāt karo

    naam mirā dil par likhvāo

    dhaḌkan ko ḳhattāt karo

    mujh par aise pyaar luTāo

    sāgar par barsāt karo

    baat hai mere baare meñ

    lahje ko mohtāt karo

    jab bhī suḳhan-e-bisāt bichhe

    har shātir ko maat karo

    umr pūñjī ḳhatm na ho

    kam kuchh iḳhrājāt karo

    ain amrit chakhne ko

    tark sabhī lazzāt karo

    nafi ko yun isbaat karo

    KHatm tum apni zat karo

    duniya se jab milne jao

    pahle KHud se baat karo

    din bhar mere sath rahe

    KHud mein basar ab raat karo

    raat ki zulf sanwar jae

    hijr ko gar mashshat karo

    nam mera dil par likhwao

    dhaDkan ko KHattat karo

    mujh par aise pyar luTao

    sagar par barsat karo

    baat hai mere bare mein

    lahje ko mohtat karo

    jab bhi suKHan-e-bisat bichhe

    har shatir ko mat karo

    umr ki punji KHatm na ho

    kam kuchh iKHrajat karo

    ain ka amrit chakhne ko

    tark sabhi lazzat karo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now