nafrat ka tere dil mein agar baal rahega
nafrat kā tire dil meñ agar baal rahegā
mahrūm mohabbat se bahar-hāl rahegā
sab ḳhaak meñ mil jā.egā pal-bhar meñ sitamgar
ye terā takabbur na zar-o-māl rahegā
uljhā huuñ maiñ duniyā meñ faqat terī badaulat
ai zindagī kab tak ye tirā jaal rahegā
maañ baap kī ḳhidmat se jo mahrūm rahā ho
phir kaise zamāne meñ vo ḳhush-hāl rahegā
bamba.ī ko to mumbai meñ badal sakte ho lekin
bhopal to har haal meñ bhopal rahegā
yādoñ kī kasak aaj bhī jaatī nahīñ dil se
kab tak tirā ai 'dard' yahī haal rahegā
nafrat ka tere dil mein agar baal rahega
mahrum mohabbat se bahar-haal rahega
sab KHak mein mil jaega pal-bhar mein sitamgar
ye tera takabbur na zar-o-mal rahega
uljha hun main duniya mein faqat teri badaulat
ai zindagi kab tak ye tera jal rahega
man bap ki KHidmat se jo mahrum raha ho
phir kaise zamane mein wo KHush-haal rahega
bambai ko to mumbai mein badal sakte ho lekin
bhopal to har haal mein bhopal rahega
yaadon ki kasak aaj bhi jati nahin dil se
kab tak tera ai 'dard' yahi haal rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.