nafrat ke silsile ye adawat ke silsile
nafrat ke silsile ye 'adāvat ke silsile
jaane kahāñ ga.e vo uḳhuvvat ke silsile
merī sabhī du'āoñ kā ulTā asar huā
TuuTe chale ga.e terī chāhat ke silsile
qaus-e-quzah gulāb ruteñ chāhateñ tirī
ab ḳhvāb ho ga.e vo rifāqat ke silsile
tum se bichhaḌ ke ziist meñ tanhā hī rah ga.e
kab rakh sake kisī se mohabbat ke silsile
chingārī kis ne pheñkī lagā.ī thī kis ne aag
sab bhuul kar baḌhāte haiñ ulfat ke silsile
ġhāfil-mabāsh apne havāloñ se le sabaq
bikhre paḌe haiñ azm-o-shujā.at ke silsile
rishta kitāb-o-ḳhāma se mazbūt kījiye
phir ustuvār hoñge farāsat ke silsile
nafrat ke silsile ye 'adawat ke silsile
jaane kahan gae wo uKHuwwat ke silsile
meri sabhi du'aon ka ulTa asar hua
TuTe chale gae teri chahat ke silsile
qaus-e-quzah gulab ruten chahaten teri
ab KHwab ho gae wo rifaqat ke silsile
tum se bichhaD ke zist mein tanha hi rah gae
kab rakh sake kisi se mohabbat ke silsile
chingari kis ne phenki lagai thi kis ne aag
sab bhul kar baDhate hain ulfat ke silsile
ghafil-mabash apne hawalon se le sabaq
bikhre paDe hain azm-o-shujaat ke silsile
rishta kitab-o-KHama se mazbut kijiye
phir ustuwar honge farasat ke silsile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.