nafraton mein chhupa pyar hoga kahin
nafratoñ meñ chhupā pyaar hogā kahīñ
dasht meñ bhī to gulzār hogā kahīñ
chal paḌā aaj phir huuñ use DhūñDne
bhiiḌ meñ gum merā yaar hogā kahīñ
ham the takte rahe raat bhar chāñd ko
aas thī dil ko dīdār hogā kahīñ
baj rahe saaz yādoñ ke gar hai yahāñ
tū udhar bhī chhiḌā taar hogā kahīñ
ek vo hī thā kyā is jahāñ meñ bachā
aur bhī koī ġham-ḳhvār hogā kahīñ
maiñ sajātā huuñ aañsū palak par merī
kar rahā vo bhī singār hogā kahīñ
koī achchhī ḳhabar bhī ho chhaptī jahāñ
kyā yahāñ aisā aḳhbār hogā kahīñ
dard ko bech kar ho munāfa' jahāñ
aisā gumnām bāzār hogā kahīñ
nafraton mein chhupa pyar hoga kahin
dasht mein bhi to gulzar hoga kahin
chal paDa aaj phir hun use DhunDne
bhiD mein gum mera yar hoga kahin
hum the takte rahe raat bhar chand ko
aas thi dil ko didar hoga kahin
baj rahe saz yaadon ke gar hai yahan
tu udhar bhi chhiDa tar hoga kahin
ek wo hi tha kya is jahan mein bacha
aur bhi koi gham-KHwar hoga kahin
main sajata hun aansu palak par meri
kar raha wo bhi singar hoga kahin
koi achchhi KHabar bhi ho chhapti jahan
kya yahan aisa aKHbar hoga kahin
dard ko bech kar ho munafa' jahan
aisa gumnam bazar hoga kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.