naghma aisa bhi mere sina-e-sad-chaak mein hai
naghma aisa bhi mere sina-e-sad-chaak mein hai
Syed Aabid Ali Aabid
MORE BYSyed Aabid Ali Aabid
naġhma aisā bhī mire sīna-e-sad-chāk meñ hai
ḳhauf se hashr bapā gumbad-e-aflāk meñ hai
ai junūñ chal ḳham-e-gesū kī taraf dil to abhī
ālam-e-ḳhvāb meñ ādāb ke pechāk meñ hai
vo qafas ho ki nasheman ki panah-gāh nahīñ
tā.iro naġhmagaro barq-e-balā taak meñ hai
tere ḳhush-posh faqīroñ se vo milte to sahī
jo ye kahte haiñ vafā pairhan-e-chāk meñ hai
ye tasavvur hai abhī arsh abhī farsh pe thā
rañg-o-nairañg usī tausan-e-chālāk meñ hai
kyā bane sūrat-e-iz.hār-e-ma.anī ki ḳhayāl
abhī uljhā huā alfāz ke pechāk meñ hai
dar-e-iḳhlās kī dahlīz pe ḳham huuñ 'ābid'
ek jiine kā salīqa dil-e-be-bāk meñ hai
naghma aisa bhi mere sina-e-sad-chaak mein hai
KHauf se hashr bapa gumbad-e-aflak mein hai
ai junun chal KHam-e-gesu ki taraf dil to abhi
aalam-e-KHwab mein aadab ke pechaak mein hai
wo qafas ho ki nasheman ki panah-gah nahin
tairo naghmagaro barq-e-bala tak mein hai
tere KHush-posh faqiron se wo milte to sahi
jo ye kahte hain wafa pairhan-e-chaak mein hai
ye tasawwur hai abhi arsh abhi farsh pe tha
rang-o-nairang usi tausan-e-chaalak mein hai
kya bane surat-e-izhaar-e-mani ki KHayal
abhi uljha hua alfaz ke pechaak mein hai
dar-e-iKHlas ki dahliz pe KHam hun 'abid'
ek jine ka saliqa dil-e-be-bak mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.