naghma-ha-e-asar-andaz kahan se laun
naġhma-hā-e-asar-andāz kahāñ se lā.ūñ
soz meñ Duubā huā saaz kahāñ se lā.ūñ
be-kasī hamdam-o-hamrāz kahāñ se lā.ūñ
ġham meñ Duubī huī āvāz kahāñ se lā.ūñ
ishq ne jis ke liye qais kā jaama pahnā
husn-e-ḳhud-bīñ ke vo andāz kahāñ se lā.ūñ
uf vo duzdīda nigāhoñ ke hasīñ nazzāre
uf vo tere ġhalat-andāz kahāñ se lā.ūñ
maut hai mere liye talḳhī-e-anjām-e-hayāt
tujh ko ai lazzat-e-āġhāz kahāñ se lā.ūñ
sunñe vāloñ ko jo ḳhud-rafta kare ai 'ahmar'
apne sheroñ meñ vo e.ajāz kahāñ se lā.ūñ
naghma-ha-e-asar-andaz kahan se laun
soz mein Duba hua saz kahan se laun
be-kasi hamdam-o-hamraaz kahan se laun
gham mein Dubi hui aawaz kahan se laun
ishq ne jis ke liye qais ka jama pahna
husn-e-KHud-bin ke wo andaz kahan se laun
uf wo duzdida nigahon ke hasin nazzare
uf wo tere ghalat-andaz kahan se laun
maut hai mere liye talKHi-e-anjam-e-hayat
tujh ko ai lazzat-e-aghaz kahan se laun
sunne walon ko jo KHud-rafta kare ai 'ahmar'
apne sheron mein wo eajaz kahan se laun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.