nahin aaram ek ja dil ko
nahīñ ārām ek jā dil ko
aah kyā jaane kyā huā dil ko
ai butāñ mohtaram rakho is ko
kahte haiñ ḳhāna-e-ḳhudā dil ko
le to jaate ho mehrbāñ lekin
kiijo mat aap se judā dil ko
muñh na pherā kabhī jafā se tirī
āfrīñ dil ko marhabā dil ko
ye tavaqqo' na thī hameñ hargiz
ki dikhāoge ye jafā dil ko
haiñ yahī Dhang aap ke to ḳhair
kyuuñ na phir dījiyegā aa dil ko
āḳhir us tifl-e-shoḳh ne dekhā
TukḌe juuñ shīsha kar diyā dil ko
aaj lagtī hai kuchh baġhal ḳhālī
kaun siine se le gayā dil ko
ham to kahte haiñ tujh ko ai 'bedār'
kiijo mat us se āshnā dil ko
nahin aaram ek ja dil ko
aah kya jaane kya hua dil ko
ai butan mohtaram rakho is ko
kahte hain KHana-e-KHuda dil ko
le to jate ho mehrban lekin
kijo mat aap se juda dil ko
munh na phera kabhi jafa se teri
aafrin dil ko marhaba dil ko
ye tawaqqo' na thi hamein hargiz
ki dikhaoge ye jafa dil ko
hain yahi Dhang aap ke to KHair
kyun na phir dijiyega aa dil ko
aaKHir us tifl-e-shoKH ne dekha
TukDe jun shisha kar diya dil ko
aaj lagti hai kuchh baghal KHali
kaun sine se le gaya dil ko
hum to kahte hain tujh ko ai 'bedar'
kijo mat us se aashna dil ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.