nahin aasan ki insan mein farishte ki ho KHu paida
nahin aasan ki insan mein farishte ki ho KHu paida
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
nahīñ āsāñ ki insāñ meñ farishte kī ho ḳhū paidā
shikast-e-ārzū kartī hai tark-e-ārzū paidā
na dekho to qayāmat tak na aa.egā nazar jalva
agar dekho to shakl-e-yār hogī chār-sū paidā
ye nā-mumkin hai nāloñ kā asar us sang-dil par ho
ye mumkin hai ki aahoñ se ho patthar meñ lahū paidā
piyūñgā shādmāñ ho kar nigāh-e-mast-e-sāqī se
karūñgā roz-e-mahshar hāsil-e-jām-o-subū paidā
ḳhas-o-ḳhāshāk ban kar jal uThegā ālam-e-imkāñ
dil-e-momin kare to nāra-e-allāh-hū paidā
amal kā sāz-e-dilaksh chheḌ kar majbūr-e-ġham dekheñ
fazā ḳhud hī karegī naġhma-e-lā-taqnatū paidā
dil-e-ḳhurshīd-e-raḳhshāñ meñ 'bashīr' āḳhir jagah paa.ī
yahāñ tak qatra-e-shabnam ne kar lī aabrū paidā
nahin aasan ki insan mein farishte ki ho KHu paida
shikast-e-arzu karti hai tark-e-arzu paida
na dekho to qayamat tak na aaega nazar jalwa
agar dekho to shakl-e-yar hogi chaar-su paida
ye na-mumkin hai nalon ka asar us sang-dil par ho
ye mumkin hai ki aahon se ho patthar mein lahu paida
piyunga shadman ho kar nigah-e-mast-e-saqi se
karunga roz-e-mahshar hasil-e-jam-o-subu paida
KHas-o-KHashak ban kar jal uThega aalam-e-imkan
dil-e-momin kare to nara-e-allah-hu paida
amal ka saz-e-dilaksh chheD kar majbur-e-gham dekhen
faza KHud hi karegi naghma-e-la-taqnatu paida
dil-e-KHurshid-e-raKHshan mein 'bashir' aaKHir jagah pai
yahan tak qatra-e-shabnam ne kar li aabru paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.